जय श्री राधे कृष्ण
'Nahin Vrindavan door kahin tha
Kyon na chale aaye Manmohan! yadi man sada vahin tha!'
'Man yadi meri sudhi kar leta
Dharti-gagan ek kar deta
Kabhi aap ko, Kans-vijeta
Kuchh bhi kathin nahin tha
'Ashva aap ke rath ke pal me
Jaate ud Tara-mandal me
Vrindavan to bas kartal me
Palkon tale yahin tha
'Nahin Vrindavan door kahin tha
Kyon na chale aaye Manmohan! yadi man sada vahin tha!'
No comments:
Post a Comment